man ke bargad tale angaron ki mala bhi japi
man ke bargad tale angaron ki mala bhi japi
Ahmad Razi Bachhrayuni
MORE BYAhmad Razi Bachhrayuni
man ke bargad tale añgāroñ kī maalā bhī japī
mujh se gautam kī tarah aag meñ champā na khilī
raat tanhā.ī ne kamre meñ jo karvaT badlī
niiñd āñkhoñ ko kisī saañp ke phan jaisī lagī
mere hī saañs se mere hī badan kī chādar
kaun samjhā.e kise aa.e yaqīñ kaise jalī
is bhare shahr meñ apnāyā kisī ne na jise
maiñ ne dekhā to 'razī' laash vo merī niklī
man ke bargad tale angaron ki mala bhi japi
mujh se gautam ki tarah aag mein champa na khili
raat tanhai ne kamre mein jo karwaT badli
nind aankhon ko kisi sanp ke phan jaisi lagi
mere hi sans se mere hi badan ki chadar
kaun samjhae kise aae yaqin kaise jali
is bhare shahr mein apnaya kisi ne na jise
main ne dekha to 'razi' lash wo meri nikli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.