manane aae hain un ko mana kar lauT jaenge
manāne aa.e haiñ un ko manā kar lauT jā.eñge
parinde pyaas ke sāhil pe aa kar lauT jā.eñge
uḌeñge shaam ke panchhī jo apne āshiyāne ko
pahāḌī vaale sūraj devtā ghar lauT jā.eñge
havā jangal se jab guzregī chhū kar niim ke patte
daraḳhtoñ par ka.ī tūfān aakar TuuT jā.eñge
mirī āñkhoñ meñ chubhtī hai abhī mausam kī tezābī
pas-e-manzar na jaane kitne manzar TuuT jā.eñge
kabhī mil baiTh kar un se kareñge pyaar kī bāteñ
kabhī un ke liye ye dīda-e-tar lauT jā.eñge
manane aae hain un ko mana kar lauT jaenge
parinde pyas ke sahil pe aa kar lauT jaenge
uDenge sham ke panchhi jo apne aashiyane ko
pahaDi wale suraj dewta ghar lauT jaenge
hawa jangal se jab guzregi chhu kar nim ke patte
daraKHton par kai tufan aakar TuT jaenge
meri aankhon mein chubhti hai abhi mausam ki tezabi
pas-e-manzar na jaane kitne manzar TuT jaenge
kabhi mil baiTh kar un se karenge pyar ki baaten
kabhi un ke liye ye dida-e-tar lauT jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.