mansab-e-ishq se kuchh ohda-bara main hi hua
mansab-e-ishq se kuchh ohda-barā maiñ hī huā
tere kūche meñ sar-afrāz-e-vafā maiñ hī huā
kuchh chalī to tere āshiq se hī talvār chalī
jab huī jañg bapā mard-e-viġhā maiñ hī huā
gar khulī tujh pe hī ḳhushbū-e-nahufta koī
terā mahram bhī to ai bād-e-sabā maiñ hī huā
vo jo be-izn uḌā laatā thā ḳhushbū terī
pahle pahle to vo gustāḳh hinā maiñ hī huā
kaisī shaffāf fazā thī yahāñ avval avval
ek mausam to yahāñ bāl-kushā maiñ hī huā
kuchh terī zulf khulī to merī sāñsoñ pe khulī
tujh pe āvāra-e-ham-rañg-e-sabā maiñ hī huā
terī ḳhātir hī thā maiñ mansab-o-mimbar kā harīs
terī ḳhvāhish se faqīrulfuqarā maiñ hī huā
tere baa.is thā maiñ sayyār-o-savābit kā harīf
aur tirā izn huā jab to fanā maiñ hī huā
mansab-e-ishq se kuchh ohda-bara main hi hua
tere kuche mein sar-afraaz-e-wafa main hi hua
kuchh chali to tere aashiq se hi talwar chali
jab hui jang bapa mard-e-wigha main hi hua
gar khuli tujh pe hi KHushbu-e-nahufta koi
tera mahram bhi to ai baad-e-saba main hi hua
wo jo be-izn uDa lata tha KHushbu teri
pahle pahle to wo gustaKH hina main hi hua
kaisi shaffaf faza thi yahan awwal awwal
ek mausam to yahan baal-kusha main hi hua
kuchh teri zulf khuli to meri sanson pe khuli
tujh pe aawara-e-ham-rang-e-saba main hi hua
teri KHatir hi tha main mansab-o-mimbar ka haris
teri KHwahish se faqirulfuqara main hi hua
tere bais tha main sayyar-o-sawabit ka harif
aur tera izn hua jab to fana main hi hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.