mansub the jo ahd-e-judai ke bab se
mansūb the jo ahd-e-judā.ī ke baab se
ham ne varaq vo phaaḌ diye haiñ kitāb se
yuuñ jhāñkte haiñ aap ke jalve naqāb se
jaise shuā.eñ mehr kī phūTeñ sahāb se
zahrāb de ke qatl ke mujrim na tum bano
ham bāda-ḳhvār haiñ hameñ maaro sharāb se
ye rang ye bahār ye mahkī huī fazā
duniyā javān hai tire ahd-e-shabāb se
pās-e-vafā ne izn-e-shikāyat na dī magar
dil mutma.in nahīñ thā tumhāre javāb se
'raushan' kisī ke ishq meñ ye apnā haal hai
nā-kāmyāb ho ke bhī haiñ kāmyāb se
mansub the jo ahd-e-judai ke bab se
hum ne waraq wo phaD diye hain kitab se
yun jhankte hain aap ke jalwe naqab se
jaise shuaen mehr ki phuTen sahab se
zahrab de ke qatl ke mujrim na tum bano
hum baada-KHwar hain hamein maro sharab se
ye rang ye bahaar ye mahki hui faza
duniya jawan hai tere ahd-e-shabab se
pas-e-wafa ne izn-e-shikayat na di magar
dil mutmain nahin tha tumhaare jawab se
'raushan' kisi ke ishq mein ye apna haal hai
na-kaamyab ho ke bhi hain kaamyab se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.