mansub un se aaj meri zat ho gai
mansūb un se aaj mirī zaat ho ga.ī
yā'nī hayāt-e-nau kī shurūāt ho ga.ī
nākāmī-e-mohabbat-e-jānāñ ke saath saath
ḳhud zindagī bhī nazr-e-ḳharābāt ho ga.ī
un kī taraf se jo bhī mujhe ġham 'atā huā
mere liye ḳhushī kī vo sauġhāt ho ga.ī
phir dil meñ us kī yaad ke bādal umaD paḌe
phir āñsuoñ kī aañkh se barsāt ho ga.ī
mahrūm ho gayā huuñ payām-e-visāl se
kyā jaane kyā ḳhatā huī kyā baat ho ga.ī
'shādāñ' mirī hayāt bhī pur-nūr thī magar
kyā jaane kab ye paikar-e-zulmāt ho ga.ī
mansub un se aaj meri zat ho gai
ya'ni hayat-e-nau ki shuruat ho gai
nakaami-e-mohabbat-e-jaanan ke sath sath
KHud zindagi bhi nazr-e-KHarabaat ho gai
un ki taraf se jo bhi mujhe gham 'ata hua
mere liye KHushi ki wo saughat ho gai
phir dil mein us ki yaad ke baadal umaD paDe
phir aansuon ki aankh se barsat ho gai
mahrum ho gaya hun payam-e-visal se
kya jaane kya KHata hui kya baat ho gai
'shadan' meri hayat bhi pur-nur thi magar
kya jaane kab ye paikar-e-zulmat ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.