mansur-war mahw-e-tamasha nahin hun main
mansūr-vār mahv-e-tamāshā nahīñ huuñ maiñ
sab kuchh sahī ḳharāb-e-tamanna nahīñ huuñ maiñ
pinhāñ tajalliyāñ haiñ isī musht-e-ḳhāk meñ
har-chand kuchh nahīñ huuñ magar kyā nahīñ huuñ maiñ
socho to saare khel tamāshe mujhī se haiñ
samjho to koī khel-tamāshā nahīñ huuñ maiñ
hai dard-e-ishq-e-yār mujhe jaan se aziiz
saudā.ī-e-ilāj-e-masīhā nahīñ huuñ maiñ
kartā huuñ āzmā.ish-e-fariyād ai falak
yā tū nahīñ hai aaj kī shab yā nahīñ huuñ maiñ
hāsil tirī nigāh se hai kaif-e-be-ḳhudī
harf-e-talāsh sāġhar-o-mīnā nahīñ huuñ maiñ
zauq-e-suḳhan hai is liye likkhī ga.ī ġhazal
'ejāz' varna 'ġhālib'-o-'saudā' nahīñ huuñ maiñ
mansur-war mahw-e-tamasha nahin hun main
sab kuchh sahi KHarab-e-tamanna nahin hun main
pinhan tajalliyan hain isi musht-e-KHak mein
har-chand kuchh nahin hun magar kya nahin hun main
socho to sare khel tamashe mujhi se hain
samjho to koi khel-tamasha nahin hun main
hai dard-e-ishq-e-yar mujhe jaan se aziz
saudai-e-ilaj-e-masiha nahin hun main
karta hun aazmaish-e-fariyaad ai falak
ya tu nahin hai aaj ki shab ya nahin hun main
hasil teri nigah se hai kaif-e-be-KHudi
harf-e-talash saghar-o-mina nahin hun main
zauq-e-suKHan hai is liye likkhi gai ghazal
'ejaz' warna 'ghaalib'-o-'sauda' nahin hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.