manzar-e-hosh se aage bhi nazar jaane de
manzar-e-hosh se aage bhī nazar jaane de
jā rahā hai ye musāfir to udhar jaane de
terī āvāz kī parvāz meñ hai merā vajūd
apnī guftār ke pardoñ meñ bikhar jaane de
na koī chashm-e-tamannā na koī dast-e-duā
zindagī tū mujhe be-laus guzar jaane de
tere qābil bhī nahīñ tere muqābil bhī nahīñ
ham-safar saath mujhe apne magar jaane de
tū to hai husn-e-azal aur mirā rañg-e-ġhazal
merī āvāz meñ bhī kuchh to asar jaane de
mere ash.ār meñ sadiyoñ ke talātum kā shu.ūr
kaash tū un ko zarā dil meñ utar jaane de
manzar-e-hosh se aage bhi nazar jaane de
ja raha hai ye musafir to udhar jaane de
teri aawaz ki parwaz mein hai mera wajud
apni guftar ke pardon mein bikhar jaane de
na koi chashm-e-tamanna na koi dast-e-dua
zindagi tu mujhe be-laus guzar jaane de
tere qabil bhi nahin tere muqabil bhi nahin
ham-safar sath mujhe apne magar jaane de
tu to hai husn-e-azal aur mera rang-e-ghazal
meri aawaz mein bhi kuchh to asar jaane de
mere ashaar mein sadiyon ke talatum ka shuur
kash tu un ko zara dil mein utar jaane de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.