manzar-e-sham-e-alam bhi nahin dekhe jate
manzar-e-shām-e-alam bhī nahīñ dekhe jaate
kyā sitam hai ki sitam bhī nahīñ dekhe jaate
ahl-e-ġham apnī tabī.at se haiñ majbūr bahut
tere andāz-e-karam bhī nahīñ dekhe jaate
itnī ujlat se jabīñ jhuktī hai sajde ke liye
aañkh se naqsh-e-qadam bhī nahīñ dekhe jaate
kam-nigāhī bhī musībat hai sharīfoñ ke liye
band muTThī ke bharam bhī nahīñ dekhe jaate
tabsira karte haiñ kyoñ log mirī hālat par
jaane kyoñ un ke karam bhī nahīñ dekhe jaate
un kī manzil kī taraf baḌhte haiñ jis dam 'aḳhtar'
raah meñ dair-o-haram bhī nahīñ dekhe jaate
manzar-e-sham-e-alam bhi nahin dekhe jate
kya sitam hai ki sitam bhi nahin dekhe jate
ahl-e-gham apni tabiat se hain majbur bahut
tere andaz-e-karam bhi nahin dekhe jate
itni ujlat se jabin jhukti hai sajde ke liye
aankh se naqsh-e-qadam bhi nahin dekhe jate
kam-nigahi bhi musibat hai sharifon ke liye
band muTThi ke bharam bhi nahin dekhe jate
tabsira karte hain kyon log meri haalat par
jaane kyon un ke karam bhi nahin dekhe jate
un ki manzil ki taraf baDhte hain jis dam 'aKHtar'
rah mein dair-o-haram bhi nahin dekhe jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.