manzar ka ehsan utara ja sakta hai
manzar kā ehsān utārā jā saktā hai
aañkh ko yaarā bhūkā maarā jā saktā hai
āñgan āñgan aag ugaa.ī jā saktī hai
kamroñ meñ dariyā kā kinārā jā saktā hai
kirchī kirchī ḳhvāb chamaktā hai āñkhoñ meñ
un se ab duniyā ko sañvārā jā saktā hai
būñdoñ meñ aa.ine ghole jā sakte haiñ
chādar-e-tan meñ safar guzārā jā saktā hai
jism-o-dil kī Than jaane par yaad rakho
jism ko jiito dil to haarā jā saktā hai
jis bastī ke rāshan ghar meñ ḳhuun bañTe
vahāñ faqat lāshoñ ko sañvārā jā saktā hai
jis āñgan kī sāñvaliyāñ roTī jīteñ
us ke tave par chāñd utārā jā saktā hai
ātish-dāñ kā siina ThanDā ho saktā hai
barf kā TukḌā ban ke sharāra jā saktā hai
manzar ka ehsan utara ja sakta hai
aankh ko yara bhuka mara ja sakta hai
aangan aangan aag ugai ja sakti hai
kamron mein dariya ka kinara ja sakta hai
kirchi kirchi KHwab chamakta hai aankhon mein
un se ab duniya ko sanwara ja sakta hai
bundon mein aaine ghole ja sakte hain
chadar-e-tan mein safar guzara ja sakta hai
jism-o-dil ki Than jaane par yaad rakho
jism ko jito dil to haara ja sakta hai
jis basti ke rashan ghar mein KHun banTe
wahan faqat lashon ko sanwara ja sakta hai
jis aangan ki sanwaliyan roTi jiten
us ke tawe par chand utara ja sakta hai
aatish-dan ka sina ThanDa ho sakta hai
barf ka TukDa ban ke sharara ja sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.