manzar-manzar aankhon mein mahfuz rakha hai sab ka sab
manzar-manzar āñkhoñ meñ mahfūz rakhā hai sab kā sab
lamha-lamha jo guzrā hai dil pe likhā hai sab kā sab
bachpan āñgan galī mohalla aur vo apnā kachchā ghar
barsoñ baa'd bhī āñkhoñ meñ vo ghuum rahā hai sab kā sab
tīkhe tevar baap kā ġhussa maañ kī mamtā laaD dulār
mere liye ye besh-qīmtī sarmāya hai sab kā sab
maktab basta DaañT piTā.ī chehra-chehra tasvīreñ
apnī bhūleñ ḳhatā sharārat yaad aatā hai sab kā sab
mele Thele jhūlā chakrī holī divālī rākhī goTh
eid moharram zehn meñ mere basā huā hai sab kā sab
ambī bhuTTe gannā kakḌī khet peḌ pagDanDī chhāñv
ber aam amrūd-o-imlī yaad aaya hai sab kā sab
gillī DanDā kuud kabaDDī anti kho-kho chhupā chhupī
soñdhī miTTī jheñgur jugnū ḳhvāb huā hai sab kā sab
hātim-e-tā.ī ālā-ūdal kathā kahānī pāgal-pan
maiñ ne rātoñ jaag jaag kar paḌh Daalā hai sab kā sab
rozī-roTī fikr masā.ib thakan masāfat chhāle Tiis
ye hī apnī himmat kā sāmān banā hai sab kā sab
biivī bachche naatī pote dost shanāsā rishte-dār
mere usūloñ se nā-vāqif ik kumba hai sab kā sab
dukh bīmārī aur buḌhāpā talḳh tajrabe ehsāsāt
ab ik insāñ mere andar jhel rahā hai sab kā sab
joḌ-ghaTāo gunā hāsil ko maiñ ne lā kar sifar talak
ab tak jis kā jo denā thā chukā diyā hai sab kā sab
apnī likkhī chand bayāzeñ chand risāle chand kutub
is ke sivā jo kuchh bhī kamāyā baañT diyā hai sab kā sab
ḳhuddārī ko bech na paayā do roTī ke liye 'asar'
jo jurmāna vaqt ne chāhā adā kiyā hai sab kā sab
manzar-manzar aankhon mein mahfuz rakha hai sab ka sab
lamha-lamha jo guzra hai dil pe likha hai sab ka sab
bachpan aangan gali mohalla aur wo apna kachcha ghar
barson ba'd bhi aankhon mein wo ghum raha hai sab ka sab
tikhe tewar bap ka ghussa man ki mamta laD dular
mere liye ye besh-qimti sarmaya hai sab ka sab
maktab basta DanT piTai chehra-chehra taswiren
apni bhulen KHata shararat yaad aata hai sab ka sab
mele Thele jhula chakri holi diwali rakhi goTh
eid moharram zehn mein mere basa hua hai sab ka sab
ambi bhuTTe ganna kakDi khet peD pagDanDi chhanw
ber aam amrud-o-imli yaad aaya hai sab ka sab
gilli DanDa kud kabaDDi anti kho-kho chhupa chhupi
sondhi miTTi jhengur jugnu KHwab hua hai sab ka sab
hatim-e-tai aala-udal katha kahani pagal-pan
main ne raaton jag jag kar paDh Dala hai sab ka sab
rozi-roTi fikr masaib thakan masafat chhaale Tis
ye hi apni himmat ka saman bana hai sab ka sab
biwi bachche nati pote dost shanasa rishte-dar
mere usulon se na-waqif ek kumba hai sab ka sab
dukh bimari aur buDhapa talKH tajrabe ehsasat
ab ek insan mere andar jhel raha hai sab ka sab
joD-ghaTao guna hasil ko main ne la kar sifar talak
ab tak jis ka jo dena tha chuka diya hai sab ka sab
apni likkhi chand bayazen chand risale chand kutub
is ke siwa jo kuchh bhi kamaya banT diya hai sab ka sab
KHuddari ko bech na paya do roTi ke liye 'asar'
jo jurmana waqt ne chaha ada kiya hai sab ka sab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.