manzar manzar qarya qarya the tum bhi
manzar manzar qarya qarya the tum bhī
ḳhāk-nazhādo phuul sitāra the tum bhī
ab shahr-e-sad-jabr meñ sākit ham Thahre
ahd-e-tahayyur meñ nā-rafta the tum bhī
maiñ sadiyoñ kī ārā.ish karne vaalā
mere masā.ī ke parvarda the tum bhī
jitne mausam biit ga.e sab mujh se the
har mausam kā vasf shagufta the tum bhī
yuuñ bhī merī chāhat ko kab raah milī
zarf-e-tamannā se hī ziyāda the tum bhī
maiñ bhī apnī zaat meñ thā āfāq-asar
apne aap meñ be-andāza the tum bhī
ham donoñ mil kar hī ek ikaa.ī the
shahr-e-anā thā maiñ darvāza the tum bhī
manzar manzar qarya qarya the tum bhi
KHak-nazhado phul sitara the tum bhi
ab shahr-e-sad-jabr mein sakit hum Thahre
ahd-e-tahayyur mein na-rafta the tum bhi
main sadiyon ki aaraish karne wala
mere masai ke parwarda the tum bhi
jitne mausam bit gae sab mujh se the
har mausam ka wasf shagufta the tum bhi
yun bhi meri chahat ko kab rah mili
zarf-e-tamanna se hi ziyaada the tum bhi
main bhi apni zat mein tha aafaq-asar
apne aap mein be-andaza the tum bhi
hum donon mil kar hi ek ikai the
shahr-e-ana tha main darwaza the tum bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.