manzil-e-dushwar sar karte hue
manzil-e-dushvār sar karte hue
thak ga.e ham to safar karte hue
chal rahī haiñ nafratoñ kī āñdhiyāñ
pyaar kā gulshan khañDar karte hue
dekhte haiñ shahr meñ ab ḳhāk-o-ḳhūñ
pattharoñ kā dil jigar karte hue
uTh rahe haiñ kuchh siyāsī log phir
bastiyoñ meñ shor-o-shar karte hue
jashn-e-āzādī manā.eñ kab talak
zulm se sarf-e-nazar karte hue
yaad aa.iiñ kuchh parā.ī sohbateñ
āñsuoñ se aañkh tar karte hue
maut guzrī hai 'sharāfat' qalb se
zindagī ko bā-ḳhabar karte hue
manzil-e-dushwar sar karte hue
thak gae hum to safar karte hue
chal rahi hain nafraton ki aandhiyan
pyar ka gulshan khanDar karte hue
dekhte hain shahr mein ab KHak-o-KHun
pattharon ka dil jigar karte hue
uTh rahe hain kuchh siyasi log phir
bastiyon mein shor-o-shar karte hue
jashn-e-azadi manaen kab talak
zulm se sarf-e-nazar karte hue
yaad aain kuchh parai sohbaten
aansuon se aankh tar karte hue
maut guzri hai 'sharafat' qalb se
zindagi ko ba-KHabar karte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.