manzil-e-gham hai charagh-e-sham hai
manzil-e-ġham hai charāġh-e-shām hai
har taraf ārām hī ārām hai
kaun kahtā hai ki vo nākām hai
jo shikār-e-gardish-e-ayyām hai
har masarrat ke liye lāzim hai ġham
har sahar ke vāste ik shaam hai
jis ko hāsil ho shu.ūr-e-āgahī
zindagī us ke liye in.aam hai
husn kī ra.anā.iyoñ meñ jo nahīñ
ishq ke hoñToñ pe vo paiġhām hai
tū nigāh-e-ġhaur se dekhe agar
har jagah un kī tajallī aam hai
rahbaroñ ke bhes meñ haiñ rāhzan
din ke ā.īne meñ aks-e-shām hai
bahr-e-ġham meñ ġharq ho kashtī jahāñ
bas usī sāhil kā tūfāñ naam hai
log kahte haiñ 'vakīl'-e-be-hunar
tujh pe paiham bārish-e-ilhām he
manzil-e-gham hai charagh-e-sham hai
har taraf aaram hi aaram hai
kaun kahta hai ki wo nakaam hai
jo shikar-e-gardish-e-ayyam hai
har masarrat ke liye lazim hai gham
har sahar ke waste ek sham hai
jis ko hasil ho shuur-e-agahi
zindagi us ke liye inam hai
husn ki ranaiyon mein jo nahin
ishq ke honTon pe wo paigham hai
tu nigah-e-ghaur se dekhe agar
har jagah un ki tajalli aam hai
rahbaron ke bhes mein hain rahzan
din ke aaine mein aks-e-sham hai
bahr-e-gham mein gharq ho kashti jahan
bas usi sahil ka tufan nam hai
log kahte hain 'wakil'-e-be-hunar
tujh pe paiham barish-e-ilham he
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.