manzil-e-hayat se be-KHatar guzar gaya
manzil-e-hayat se be-KHatar guzar gaya
Abdul Majeed Dard Bhopali
MORE BYAbdul Majeed Dard Bhopali
manzil-e-hayāt se be-ḳhatar guzar gayā
aap jalva-rez the maiñ jidhar jidhar gayā
hādsāt-e-dahr se mast-o-be-ḳhabar gayā
justujū-e-shauq meñ dil nikhar nikhar gayā
jur.at-e-ravānī-e-rāhbar na pūchhiye
manziloñ ko chhoḌtā kārvāñ guzar gayā
jaag uThā to zindagī so gayā to maut hai
itnā jaan le to phir aadmī sañvar gayā
rahnumā ke bhes meñ rāhzan haiñ āj-kal
e'timād-e-rāhbar dil se ab utar gayā
tum mile to miT ga.iiñ kulfateñ firāq kī
fikr-e-āh-e-shab ga.ī nāla-e-sahar gayā
ham-navāo dosto fikr aaj kī karo
kal kā tazkira hī kyā jo huā guzar gayā
'dard' us nigāh par jaan bhī nisār hai
jis ke iltifāt par dil gayā jigar gayā
manzil-e-hayat se be-KHatar guzar gaya
aap jalwa-rez the main jidhar jidhar gaya
hadsat-e-dahr se mast-o-be-KHabar gaya
justuju-e-shauq mein dil nikhar nikhar gaya
jurat-e-rawani-e-rahbar na puchhiye
manzilon ko chhoDta karwan guzar gaya
jag uTha to zindagi so gaya to maut hai
itna jaan le to phir aadmi sanwar gaya
rahnuma ke bhes mein rahzan hain aaj-kal
e'timad-e-rahbar dil se ab utar gaya
tum mile to miT gain kulfaten firaq ki
fikr-e-ah-e-shab gai nala-e-sahar gaya
ham-nawao dosto fikr aaj ki karo
kal ka tazkira hi kya jo hua guzar gaya
'dard' us nigah par jaan bhi nisar hai
jis ke iltifat par dil gaya jigar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.