manzil-e-jaan KHud bichhati ja rahi hai rasta
manzil-e-jāñ ḳhud bichhātī jā rahī hai rāsta
jiip jañgal meñ banātī jā rahī hai rāsta
ek nā-mumkin pahāḌī rafta rafta haath se
mere paañv meñ girātī jā rahī hai rāsta
sochtā huuñ merī hastī kī ye pathrīlī saḌak
jañgaloñ se kyoñ milātī jā rahī hai rāsta
saath us ke saal bhar se chal rahā huuñ road par
apne ghar kā kyoñ baḌhātī jā rahī hai rāsta
pīchhe pīchhe paañv uThte jā rahe haiñ ishq meñ
aage aage vo batātī jā rahī hai rāsta
rah banātā jā rahā huuñ dasht meñ 'mansūr' maiñ
vaqt kī āñdhī uḌātī jā rahī hai rāsta
manzil-e-jaan KHud bichhati ja rahi hai rasta
jip jangal mein banati ja rahi hai rasta
ek na-mumkin pahaDi rafta rafta hath se
mere panw mein giraati ja rahi hai rasta
sochta hun meri hasti ki ye pathrili saDak
jangalon se kyon milati ja rahi hai rasta
sath us ke sal bhar se chal raha hun road par
apne ghar ka kyon baDhati ja rahi hai rasta
pichhe pichhe panw uThte ja rahe hain ishq mein
aage aage wo batati ja rahi hai rasta
rah banata ja raha hun dasht mein 'mansur' main
waqt ki aandhi uDati ja rahi hai rasta
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 439)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.