manzil-e-KHwab luTi KHatm hui kawish-e-dil
manzil-e-ḳhvāb luTī ḳhatm huī kāvish-e-dil
ab to bechārgī-e-jism hai aur kāhish-e-dil
barf sī jamne lagī mā'bad-e-tan par āḳhir
sard hone lagā ātish-kada-e-ḳhvāhish-e-dil
paañv ke aable sahlāne kī fursat kis ko
chain lene nahīñ detī hai yahāñ sozish-e-dil
ik falak-zād ke chehre pe nazar Thahrī hai
le ke jaatī hai kahāñ dekhiye ab gardish-e-dil
kyā kareñ us ke liye tan ko lagā leñ koī rog
saḳht anjān hai kartā hī nahīñ pursish-e-dil
chashm hairān judā 'aql sarāsīma alag
aur baḌhtī chalī jaatī hai idhar sāzish-e-dil
aañkh meñ bhīgī huī shaam kā manzar hī rahā
kurra-e-ḳhvāb pe hotī hī rahī bārish-e-dil
ham bhī ḳhāmosh guzar jā.eñge auroñ kī tarah
le bhī aa.ī tire kūche meñ agar laġhzish-e-dil
sard kartā hai lahū tere zamistāñ kā ḳhayāl
munjamid hone nahīñ detī magar tābish-e-dil
koī aa.e to charāġhāñ ho sabhī rastoñ par
koī Thahre to saje bazm-gah-e-ḳhvāhish-e-dil
lab agar band rahe aañkh agar sākit thī
tū jo aayā hameñ mahsūs huī jumbish-e-dil
raunaq-e-bazm se kyā haath uThānā thā ki phir
rang-e-duniyā se sivā ho ga.ī kuchh rāmish-e-dil
raakh kā Dher hī pāoge palaT aane par
gar isī tarh jalā.egī hameñ ātish-e-dil
shūmī-e-baḳht sahī zindagī kuchh saḳht sahī
phir bhī qaa.em hai abhī hurmat-e-jāñ nāzish-e-dil
manzil-e-KHwab luTi KHatm hui kawish-e-dil
ab to bechaargi-e-jism hai aur kahish-e-dil
barf si jamne lagi ma'bad-e-tan par aaKHir
sard hone laga aatish-kada-e-KHwahish-e-dil
panw ke aable sahlane ki fursat kis ko
chain lene nahin deti hai yahan sozish-e-dil
ek falak-zad ke chehre pe nazar Thahri hai
le ke jati hai kahan dekhiye ab gardish-e-dil
kya karen us ke liye tan ko laga len koi rog
saKHt anjaan hai karta hi nahin pursish-e-dil
chashm hairan juda 'aql sarasima alag
aur baDhti chali jati hai idhar sazish-e-dil
aankh mein bhigi hui sham ka manzar hi raha
kurra-e-KHwab pe hoti hi rahi barish-e-dil
hum bhi KHamosh guzar jaenge auron ki tarah
le bhi aai tere kuche mein agar laghzish-e-dil
sard karta hai lahu tere zamistan ka KHayal
munjamid hone nahin deti magar tabish-e-dil
koi aae to charaghan ho sabhi raston par
koi Thahre to saje bazm-gah-e-KHwahish-e-dil
lab agar band rahe aankh agar sakit thi
tu jo aaya hamein mahsus hui jumbish-e-dil
raunaq-e-bazm se kya hath uThana tha ki phir
rang-e-duniya se siwa ho gai kuchh ramish-e-dil
rakh ka Dher hi paoge palaT aane par
gar isi tarh jalaegi hamein aatish-e-dil
shumi-e-baKHt sahi zindagi kuchh saKHt sahi
phir bhi qaem hai abhi hurmat-e-jaan nazish-e-dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.