manzil-e-maqsud ki hai justuju
manzil-e-maqsūd kī hai justujū
aur dil meñ hai usī kī aarzū
azm-e-mustahkam hai apnā ham-safar
shāhid-e-maqsūd bhī hai rū-ba-rū
chhā na jaa.e yaas kā abr-e-siyah
āsmāñ kā chāñd dekhūñ rū-ba-rū
andalīb-e-gulshan-e-ummīd huuñ
hai nigāhoñ meñ usī kā rang-o-bū
hai vo charḳh-e-irtiqā pesh-e-nazar
kar rahā huuñ maiñ usī se guftugū
kāmrānī chuum letī hai qadam
josh meñ aa.e amal kā jab lahū
bahr-e-rahmat hai nazar ke sāmne
maiñ usī paanī se kartā huuñ vuzū
yaas ke but kā pujārī kyoñ banūñ
aas ke jalve haiñ mere chār-sū
haar merā hai surayyā kī laḌī
hai isī zevar se merī aabrū
teġh-e-istiqlāl ho jab haath meñ
kyā bigāḌegā mirā charḳh-e-adū
ruḳh pe mal kar ḳhūn-e-dil un se mile
to kahā ab ho ga.e ho surḳh-rū
kyā pate kī baat kah dī hai 'nishāt'
kyoñ na ham us ko kareñ zeb-e-gulū
manzil-e-maqsud ki hai justuju
aur dil mein hai usi ki aarzu
azm-e-mustahkam hai apna ham-safar
shahid-e-maqsud bhi hai ru-ba-ru
chha na jae yas ka abr-e-siyah
aasman ka chand dekhun ru-ba-ru
andalib-e-gulshan-e-ummid hun
hai nigahon mein usi ka rang-o-bu
hai wo charKH-e-irtiqa pesh-e-nazar
kar raha hun main usi se guftugu
kaamrani chum leti hai qadam
josh mein aae amal ka jab lahu
bahr-e-rahmat hai nazar ke samne
main usi pani se karta hun wuzu
yas ke but ka pujari kyon banun
aas ke jalwe hain mere chaar-su
haar mera hai surayya ki laDi
hai isi zewar se meri aabru
tegh-e-istiqlal ho jab hath mein
kya bigaDega mera charKH-e-adu
ruKH pe mal kar KHun-e-dil un se mile
to kaha ab ho gae ho surKH-ru
kya pate ki baat kah di hai 'nishat'
kyon na hum us ko karen zeb-e-gulu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.