manzil-e-shauq ki rahon ne hamein mar liya
manzil-e-shauq kī rāhoñ ne hameñ maar liyā
yā'nī rangīn gunāhoñ ne hameñ maar liyā
bach ke aa.e the abhī ḳhanjar-e-qātil se ki dost
aap kī shoḳh nigāhoñ ne hameñ maar liyā
yaar dekho to sahī manzar-e-e’jāz-e-visāl
un ke baazū kī panāhoñ ne hameñ maar liyā
ye tire 'aib to kyā ham ko hirāsāñ karte
aap apne hī gunāhoñ ne hameñ maar liyā
bharī mahfil meñ jo us shoḳh ko dekhā 'kāzim'
sab kī mashkūk nigāhoñ ne hameñ maar liyā
manzil-e-shauq ki rahon ne hamein mar liya
ya'ni rangin gunahon ne hamein mar liya
bach ke aae the abhi KHanjar-e-qatil se ki dost
aap ki shoKH nigahon ne hamein mar liya
yar dekho to sahi manzar-e-e’jaz-e-visal
un ke bazu ki panahon ne hamein mar liya
ye tere 'aib to kya hum ko hirasan karte
aap apne hi gunahon ne hamein mar liya
bhari mahfil mein jo us shoKH ko dekha 'kazim'
sab ki mashkuk nigahon ne hamein mar liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.