manzil hai dur kuch ka saman kijiye
manzil hai duur kuuch kā sāmān kījiye
dushvār hai safar ise āsān kījiye
ye ‘aql kī hai baat ise maan lījiye
jiinā hai to samāj se paimān kījiye
kasb-e-kamāl-e-fan kā hai ye avvalīñ chalan
har aan apne aap ko qurbān kījiye
irshād hai ye ġhālib-e-dānā-e-rāz kā
pindār kā sanam-kada vīrān kījiye
merā junūñ hī kū-e-malāmat kī jaan hai
mere fusūn-e-shauq ko pahchān lījiye
rang-e-malāl ko nahīñ kaif-e-nashāt ko
afsāna-e-hayāt kā ‘unvān kījiye
shāyad gudāz-e-‘ishq se ho jaa.e āshnā
nāseh kī nazr 'mīr' kā dīvān kījiye
kahtī hai ramz-o-rāz se us kī nigāh-e-nāz
mujh par nisār maz.hab-o-īmān kījiye
āhang-o-rang-e-kufr hai is kī matā-e-shauq
urdu ko baḳhshiye na musalmān kījiye
ḳhū-e-vafā meñ ho vo azīmat kā bāñkpan
rasm-e-jafā se un ko pashemān kījiye
duniyā danī hai har sag-e-duniyā ke sāmne
kyoñ apne soz-e-ishq kā e'lān kījiye
insāñ kī hast-o-būd kā hai aur kyā javāz
apnī numūd se ise hairān kījiye
turfa-sitam agar ki ho shaitān hukmarāñ
hai maslahat ki tā’at-e-shaitān kījiye
ham-mā’nī-e-sitam hai ye tamkīñ-numā karam
ehsāñ na kījiye yahī ehsān kījiye
kyā mard-e-be-niyāz ko e’zāz kī havas
mere liye na dil ko pareshān kījiye
manzil hai dur kuch ka saman kijiye
dushwar hai safar ise aasan kijiye
ye ‘aql ki hai baat ise man lijiye
jina hai to samaj se paiman kijiye
kasb-e-kamal-e-fan ka hai ye awwalin chalan
har aan apne aap ko qurban kijiye
irshad hai ye ghaalib-e-dana-e-raaz ka
pindar ka sanam-kada viran kijiye
mera junun hi ku-e-malamat ki jaan hai
mere fusun-e-shauq ko pahchan lijiye
rang-e-malal ko nahin kaif-e-nashat ko
afsana-e-hayat ka ‘unwan kijiye
shayad gudaz-e-‘ishq se ho jae aashna
naseh ki nazr 'mir' ka diwan kijiye
kahti hai ramz-o-raaz se us ki nigah-e-naz
mujh par nisar mazhab-o-iman kijiye
aahang-o-rang-e-kufr hai is ki mata-e-shauq
urdu ko baKHshiye na musalman kijiye
KHu-e-wafa mein ho wo azimat ka bankpan
rasm-e-jafa se un ko pasheman kijiye
duniya dani hai har sag-e-duniya ke samne
kyon apne soz-e-ishq ka e'lan kijiye
insan ki hast-o-bud ka hai aur kya jawaz
apni numud se ise hairan kijiye
turfa-sitam agar ki ho shaitan hukmaran
hai maslahat ki ta’at-e-shaitan kijiye
ham-ma’ni-e-sitam hai ye tamkin-numa karam
ehsan na kijiye yahi ehsan kijiye
kya mard-e-be-niyaz ko e’zaz ki hawas
mere liye na dil ko pareshan kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.