manzil hai kaThin kam zad-e-safar malum nahin kya hona hai
manzil hai kaThin kam zad-e-safar malum nahin kya hona hai
Shauq Bahraichi
MORE BYShauq Bahraichi
manzil hai kaThin kam zād-e-safar ma.alūm nahīñ kyā honā hai
aur lañgDā apāhij hai rahbar ma.alūm nahīñ kyā honā hai
ḳhā.if na ho kyuuñ har fard bashar ma.alūm nahīñ kyā honā hai
hai vaqt ke hāthoñ meñ hunter ma.alūm nahīñ kyā honā hai
dekhā hai ye aksar shaam o sahar rah-rau to hai rah-rau ḳhud rahbar
har gaam pe khāte haiñ Thokar ma.alūm nahīñ kyā honā hai
lafzoñ kā bayāñ dilkash dilkash duniyā-e-amal suunī suunī
schemeñ haiñ gaTThar kā gaTThar ma.alūm nahīñ kyā honā hai
āzādī ke phal rañgīñ rañgīñ khāne meñ bahut mīThe mīThe
kiiḌe haiñ magar andar andar ma.alūm nahīñ kyā honā hai
garmi-e-mizāj-e-dost kā ham andāza kareñ to kaise kareñ
bigḌā huā hai thermometer ma.alūm nahīñ kyā honā hai
hairāñ huuñ ki is gardūñ ke tale tanzīm kī gaaḌī kaise chale
pahiye meñ hazāroñ haiñ puncture ma.alūm nahīñ kyā honā hai
maalī to hai kuchh rūThā rūThā aur ahl-e-chaman bigḌe bigḌe
bijlī kī nazar chhappar chhappar ma.alūm nahīñ kyā honā hai
gesū haiñ pareshāñ bulbul ke aur chaak girebāñ haiñ gul ke
panic meñ hai sabza shaam o sahar ma.alūm nahīñ kyā honā hai
be-lazzat kaif-o-mastī ke mallāh bhī himmat haare haiñ
ḳhushkī meñ phañsā hai ambassador ma.alūm nahīñ kyā honā hai
hai shaiḳh kī milkiyyat ka.aba mīrās-e-barahman but-ḳhāna
chhā.e hue har-sū haiñ joker ma.alūm nahīñ kyā honā hai
pherī haiñ ahibbā ne āñkheñ badle haiñ aizza ne tevar
hai 'shauq' har ārāzī banjar ma.alūm nahīñ kyā honā hai
manzil hai kaThin kam zad-e-safar malum nahin kya hona hai
aur langDa apahij hai rahbar malum nahin kya hona hai
KHaif na ho kyun har fard bashar malum nahin kya hona hai
hai waqt ke hathon mein hunter malum nahin kya hona hai
dekha hai ye aksar sham o sahar rah-rau to hai rah-rau KHud rahbar
har gam pe khate hain Thokar malum nahin kya hona hai
lafzon ka bayan dilkash dilkash duniya-e-amal suni suni
schemen hain gaTThar ka gaTThar malum nahin kya hona hai
aazadi ke phal rangin rangin khane mein bahut miThe miThe
kiDe hain magar andar andar malum nahin kya hona hai
garmi-e-mizaj-e-dost ka hum andaza karen to kaise karen
bigDa hua hai thermometer malum nahin kya hona hai
hairan hun ki is gardun ke tale tanzim ki gaDi kaise chale
pahiye mein hazaron hain puncture malum nahin kya hona hai
mali to hai kuchh ruTha ruTha aur ahl-e-chaman bigDe bigDe
bijli ki nazar chhappar chhappar malum nahin kya hona hai
gesu hain pareshan bulbul ke aur chaak gireban hain gul ke
panic mein hai sabza sham o sahar malum nahin kya hona hai
be-lazzat kaif-o-masti ke mallah bhi himmat haare hain
KHushki mein phansa hai ambassador malum nahin kya hona hai
hai shaiKH ki milkiyyat kaba miras-e-barahman but-KHana
chhae hue har-su hain joker malum nahin kya hona hai
pheri hain ahibba ne aankhen badle hain aizza ne tewar
hai 'shauq' har aaraazi banjar malum nahin kya hona hai
- Book : intekhab-e-kalam shauq bahraichi (Pg. 107)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.