manzil hai na koi safar hai
manzil hai na koī safar hai
jaane ye kaisī rāhguzar hai
maiñ jis ko pahchān rahā huuñ
shāyad vo merā hī ghar hai
nā-dānoñ kī bhiiḌ meñ khoyā
shāyad koī dānish-var hai
kyā tauqīr hai ahl-e-fan kī
kyā e.azāz-e-ahl-e-hunar hai
merā ghar saarī duniyā kā
saarī duniyā merā ghar hai
nashsha TūTne se pahle hī
ham so jaa.eñ to behtar hai
kaise 'kañval' tai hogā ham se
ḳhvāboñ ke jangal kā safar hai
manzil hai na koi safar hai
jaane ye kaisi rahguzar hai
main jis ko pahchan raha hun
shayad wo mera hi ghar hai
na-danon ki bhiD mein khoya
shayad koi danish-war hai
kya tauqir hai ahl-e-fan ki
kya eazaz-e-ahl-e-hunar hai
mera ghar sari duniya ka
sari duniya mera ghar hai
nashsha TuTne se pahle hi
hum so jaen to behtar hai
kaise 'kanwal' tai hoga hum se
KHwabon ke jangal ka safar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.