manzil ka jinko hosh na apna pata mile
manzil kā jin ko hosh na apnā patā mile
aise meñ rāh-e-ishq meñ kuchh ham-navā mile
dair-o-haram meñ pā na sake shaiḳh-o-barhaman
ahl-e-nazar ko jalve tire jā-ba-jā mile
allah re ehtirām ki merī jabīn-e-shauq
jhuktī ga.ī jahāñ bhī tire naqsh-e-pā mile
har har qadam pe yuuñ to mile rahnumā bahut
phir bhī ye aarzū hai koī rahnumā mile
yuuñ to qadam qadam pe mile be-shumār dost
hamdard ġham-gusār kahāñ āshnā mile
insāñ na kar sakegā abad tak ye faisla
kyā kyā milā jahāñ meñ use aur kyā mile
ab aarzū bhī dil meñ nahīñ hai mire koī
phir kyā hai laakh un kā agar dar khulā mile
vo jin kī pārsā.ī kā charchā thā har taraf
kal mai-kade meñ 'fauq' vahī pārsā mile
manzil ka jin ko hosh na apna pata mile
aise mein rah-e-ishq mein kuchh ham-nawa mile
dair-o-haram mein pa na sake shaiKH-o-barhaman
ahl-e-nazar ko jalwe tere ja-ba-ja mile
allah re ehtiram ki meri jabin-e-shauq
jhukti gai jahan bhi tere naqsh-e-pa mile
har har qadam pe yun to mile rahnuma bahut
phir bhi ye aarzu hai koi rahnuma mile
yun to qadam qadam pe mile be-shumar dost
hamdard gham-gusar kahan aashna mile
insan na kar sakega abad tak ye faisla
kya kya mila jahan mein use aur kya mile
ab aarzu bhi dil mein nahin hai mere koi
phir kya hai lakh un ka agar dar khula mile
wo jin ki parsai ka charcha tha har taraf
kal mai-kade mein 'fauq' wahi parsa mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.