manzil ka mohabbat main kahin nam nahin hai
manzil kā mohabbat maiñ kahīñ naam nahīñ hai
āġhāz hī āġhāz hai anjām nahīñ hai
sayyād ye kyūñ-kar kahūñ ārām nahīñ hai
jo kal thī taḌap aaj tah-e-dām nahīñ hai
nazzāre se haañ aur bhī dil hotā hai bechain
be aap ke dekhe bhī to ārām nahīñ hai
ārām sukūñ meñ hai sukūñ maut meñ ya.anī
jiine meñ to zāhir hai ki ārām nahīñ hai
hai shaam to ab sub.h kā honā hai qayāmat
jab sub.h huī to ḳhabar-e-shām nahīñ hai
ye dard ye sozish ye taḌap aur ye aaheñ
kis muñh se kahūñ ishq meñ ārām nahīñ hai
ho dil meñ mohabbat to ho ehsās-e-mohabbat
fitrat kā ye in.aam magar aam nahīñ hai
zulfeñ ruḳh-e-pur-nūr pe kahtī haiñ bikhar ke
is shaam ke ba.ad aur koī shaam nahīñ hai
'raushan' ye mohabbat kī hai duniyā hī nirālī
miT jaanā yahāñ koī baḌā kaam nahīñ hai
manzil ka mohabbat main kahin nam nahin hai
aaghaz hi aaghaz hai anjam nahin hai
sayyaad ye kyun-kar kahun aaram nahin hai
jo kal thi taDap aaj tah-e-dam nahin hai
nazzare se han aur bhi dil hota hai bechain
be aap ke dekhe bhi to aaram nahin hai
aaram sukun mein hai sukun maut mein yani
jine mein to zahir hai ki aaram nahin hai
hai sham to ab subh ka hona hai qayamat
jab subh hui to KHabar-e-sham nahin hai
ye dard ye sozish ye taDap aur ye aahen
kis munh se kahun ishq mein aaram nahin hai
ho dil mein mohabbat to ho ehsas-e-mohabbat
fitrat ka ye inam magar aam nahin hai
zulfen ruKH-e-pur-nur pe kahti hain bikhar ke
is sham ke baad aur koi sham nahin hai
'raushan' ye mohabbat ki hai duniya hi nirali
miT jaana yahan koi baDa kaam nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.