manzil ki justuju mein bikharna paDa mujhe
manzil kī justujū meñ bikharnā paḌā mujhe
dushvār rāstoñ se guzarnā paḌā mujhe
marne ke vāste mujhe bhejā gayā yahāñ
jiine ke vāste yahāñ marnā paḌā mujhe
ye soch kar ki tujh se na parvāz ūñchī ho
apne paroñ ko ḳhud hī katarnā paḌā mujhe
jab chāñd ko maiñ dost banāne lagā to phir
sūraj kī barhamī se bhī Darnā paḌā mujhe
'zaryāb' sahl kab haiñ mazāmīn bāñdhnā
alfāz kī tahoñ meñ utarnā paḌā mujhe
manzil ki justuju mein bikharna paDa mujhe
dushwar raston se guzarna paDa mujhe
marne ke waste mujhe bheja gaya yahan
jine ke waste yahan marna paDa mujhe
ye soch kar ki tujh se na parwaz unchi ho
apne paron ko KHud hi katarna paDa mujhe
jab chand ko main dost banane laga to phir
suraj ki barhami se bhi Darna paDa mujhe
'zaryab' sahl kab hain mazamin bandhna
alfaz ki tahon mein utarna paDa mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.