manzil kī justujū thī pe manzil na mil sakī
ham ko kisī tarah tirī mahfil na mil sakī
ham ne har ek gaam ko manzil banā liyā
āsāniyāñ to mil ga.iiñ mushkil na mil sakī
ġham bhī masarratoñ kī tarah se hai 'ārzī
māyūs-e-ġham ko lazzat-e-kāmil na mil sakī
dekhīñ hazār chashm-e-tamannā ne mahfileñ
jis kī talāsh thī vahī mahfil na mil sakī
rahrau bhī mere saath hī gum-gashta ho ga.e
ik baar mil ke phir kabhī manzil na mil sakī
jab se huā hai dast-e-talab ġham se be-niyāz
dast-e-gadā ko lazzat-e-sā.il na mil sakī
ik baar aa ke phir kabhī tūfāñ na aa sakā
kashtī-e-dil ko dūrī-e-sāhil na mil sakī
hai māvarā-e-'aql-o-ḳhirad intihā-e-ġham
manzil to mil ga.ī had-e-manzil na mil sakī
'bahzād' us kī ziist koī ziist hī nahīñ
jis ko 'atā-e-murshid-e-kāmil na mil sakī
manzil ki justuju thi pe manzil na mil saki
hum ko kisi tarah teri mahfil na mil saki
hum ne har ek gam ko manzil bana liya
aasaniyan to mil gain mushkil na mil saki
gham bhi masarraton ki tarah se hai 'arzi
mayus-e-gham ko lazzat-e-kaamil na mil saki
dekhin hazar chashm-e-tamanna ne mahfilen
jis ki talash thi wahi mahfil na mil saki
rahrau bhi mere sath hi gum-gashta ho gae
ek bar mil ke phir kabhi manzil na mil saki
jab se hua hai dast-e-talab gham se be-niyaz
dast-e-gada ko lazzat-e-sail na mil saki
ek bar aa ke phir kabhi tufan na aa saka
kashti-e-dil ko duri-e-sahil na mil saki
hai mawara-e-'aql-o-KHirad intiha-e-gham
manzil to mil gai had-e-manzil na mil saki
'bahzad' us ki zist koi zist hi nahin
jis ko 'ata-e-murshid-e-kaamil na mil saki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.