manzil ko DhunDhna hai to apni nazar mein DhunD
manzil ko DhūñDhnā hai to apnī nazar meñ DhūñD
yā muflisoñ kī bhīgī huī chashm-e-tar meñ DhūñD
ġham aur ḳhushī meñ fāsla gar DhūñDhtā hai tū
rātoñ ke ghup añdhere meñ nūr-e-sahar meñ DhūñD
vo kaun hai jo kartā hai shāḳhoñ ko bārvar
us kā surāġh phuul meñ barg-o-shajar meñ DhūñD
ye zindagī milegī lahū hī meñ tar-ba-tar
amn-o-amāñ meñ DhūñD ki ḳhauf-o-ḳhatar meñ DhūñD
ashkoñ kī mauj-e-yam meñ tū kashtī chalā ke dekh
vo har jagah milegā use bahr-o-bar meñ DhūñD
rahbar ke intizār meñ 'mahshar' hai kis liye
manzil kā apnī rāsta gard-e-safar meñ DhūñD
manzil ko DhunDhna hai to apni nazar mein DhunD
ya muflison ki bhigi hui chashm-e-tar mein DhunD
gham aur KHushi mein fasla gar DhunDhta hai tu
raaton ke ghup andhere mein nur-e-sahar mein DhunD
wo kaun hai jo karta hai shaKHon ko barwar
us ka suragh phul mein barg-o-shajar mein DhunD
ye zindagi milegi lahu hi mein tar-ba-tar
amn-o-aman mein DhunD ki KHauf-o-KHatar mein DhunD
ashkon ki mauj-e-yam mein tu kashti chala ke dekh
wo har jagah milega use bahr-o-bar mein DhunD
rahbar ke intizar mein 'mahshar' hai kis liye
manzil ka apni rasta gard-e-safar mein DhunD
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.