manzil milegi tumko manzil se lau laga ke
manzil milegī tum ko manzil se lau lagā ke
chalte raho musalsal apne qadam jamā ke
kyā haath aa gayā hai tum ko haram meñ jā ke
kyoñ pārsā bane ho logoñ pe zulm Dhā ke
dil ko sukūñ milā kyā nāhaq lahū bahā ke
āḳhir tumheñ milā kyā ye bastiyāñ jalā ke
zālim ke sāmne ham kyoñ apnā sar jhukā.eñ
jitne bhī din jiyeñge jī leñge sar uThā ke
kuchh apnī tum sunāo kuchh merī bhī suno tum
dil ko sukūñ milegā thoḌā qarīb aa ke
manzil milegi tum ko manzil se lau laga ke
chalte raho musalsal apne qadam jama ke
kya hath aa gaya hai tum ko haram mein ja ke
kyon parsa bane ho logon pe zulm Dha ke
dil ko sukun mila kya nahaq lahu baha ke
aaKHir tumhein mila kya ye bastiyan jala ke
zalim ke samne hum kyon apna sar jhukaen
jitne bhi din jiyenge ji lenge sar uTha ke
kuchh apni tum sunao kuchh meri bhi suno tum
dil ko sukun milega thoDa qarib aa ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.