manzil nahin hai pas to kya rahguzar to hai
manzil nahīñ hai paas to kyā rahguzar to hai
is dasht-e-zindagī meñ ġhubār-e-safar to hai
duniyā agar nazar bhī phirā le to ġham nahīñ
merī nazar ke saath tumhārī nazar to hai
vo mujh se duur duur sahī be-ḳhabar nahīñ
maanā guhar nahīñ magar āb-e-guhar to hai
jab chāheñge rihā.ī dilā deñge vo kahīñ
qaid un kī zulf hī meñ hamārī sahar to hai
jiinā hī jab hai ham ko to hañs ke jiyeñge ham
daulat nahīñ hai haath meñ lekin hunar to hai
'rāhī' mujhe siyāhī-e-shab kyā Darā.egī
pahlū meñ qalb ban ke naqīb-e-sahar to hai
manzil nahin hai pas to kya rahguzar to hai
is dasht-e-zindagi mein ghubar-e-safar to hai
duniya agar nazar bhi phira le to gham nahin
meri nazar ke sath tumhaari nazar to hai
wo mujh se dur dur sahi be-KHabar nahin
mana guhar nahin magar aab-e-guhar to hai
jab chahenge rihai dila denge wo kahin
qaid un ki zulf hi mein hamari sahar to hai
jina hi jab hai hum ko to hans ke jiyenge hum
daulat nahin hai hath mein lekin hunar to hai
'rahi' mujhe siyahi-e-shab kya Daraegi
pahlu mein qalb ban ke naqib-e-sahar to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.