manzil nahin safar mein junun-e-safar mile
manzil nahīñ safar meñ junūn-e-safar mile
nā-mo'tabar ḳhushī hai ġham-e-mo'tabar mile
ham ne to yuuñ kisī pe bharosā nahīñ kiyā
phir bhī koī milā to bahut TuuT kar mile
duniyā meñ ishq hī se milī daulat-e-hayāt
aur ishq hī se fitna-e-shām-o-sahar mile
bachpan shabāb aur za.īfī ke tiin pal
lamhe jo zindagī ko mile muḳhtasar mile
us aadmī ko qissa-e-rang-e-hinā se kyā
jo apne ḳhuuñ meñ Duubā huā sar-basar mile
ye dil kī aarzū hai ki merī jabīn-e-shauq
ḳhuuñ se vuzū kare jo tirā sang-e-dar mile
har pal hai zindagī se pareshān aadmī
phir bhī ye aarzū hai ki bār-e-digar mile
pesh-e-ḳhatā ye sochnā aisā na ho kahīñ
ik lamhe kī ḳhatā kī sazā umr bhar mile
tūfān-e-bahr se koī shikva nahīñ 'fahīm'
ham ko to apnī naav ke andar bhañvar mile
manzil nahin safar mein junun-e-safar mile
na-mo'tabar KHushi hai gham-e-mo'tabar mile
hum ne to yun kisi pe bharosa nahin kiya
phir bhi koi mila to bahut TuT kar mile
duniya mein ishq hi se mili daulat-e-hayat
aur ishq hi se fitna-e-sham-o-sahar mile
bachpan shabab aur zaifi ke tin pal
lamhe jo zindagi ko mile muKHtasar mile
us aadmi ko qissa-e-rang-e-hina se kya
jo apne KHun mein Duba hua sar-basar mile
ye dil ki aarzu hai ki meri jabin-e-shauq
KHun se wuzu kare jo tera sang-e-dar mile
har pal hai zindagi se pareshan aadmi
phir bhi ye aarzu hai ki bar-e-digar mile
pesh-e-KHata ye sochna aisa na ho kahin
ek lamhe ki KHata ki saza umr bhar mile
tufan-e-bahr se koi shikwa nahin 'fahim'
hum ko to apni naw ke andar bhanwar mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.