manzil se pahle hi chalna chhoD diya
manzil se pahle hi chalna chhoD diya
Mohammad Ishtiyaaq Aalam
MORE BYMohammad Ishtiyaaq Aalam
manzil se pahle hī chalnā chhoḌ diyā
mujh ko us ne raah meñ tanhā chhoḌ diyā
pheñk dī us ne haath se jab talvār to phir
maiñ ne bhī dushman ko zinda chhoḌ diyā
murjhā.e murjhā.e se haiñ shāḳhoñ par
phūloñ ne kyoñ jaane khilnā chhoḌ diyā
daur-e-taraqqī tere sadqe chhoToñ ne
apne baḌoñ kī izzat karnā chhoḌ diyā
us dīpak ko kaun bujhāne vaalā hai
jis dīpak ko maiñ ne jaltā chhoḌ diyā
tab se hī to suukh gayā hai vo dariyā
jab se tum ne is meñ nahānā chhoḌ diyā
gardish hī to saath hamāre rahtī thī
gardish ne bhī saath hamārā chhoḌ diyā
ik ma.amūlī pinhāran kī chāhat meñ
shahzāde ne shahar-e-buḳhārā chhoḌ diyā
'ālam' jab se us ne nazreñ pherī haiñ
āñkhoñ ne bhī ḳhvāb sajānā chhoḌ diyā
manzil se pahle hi chalna chhoD diya
mujh ko us ne rah mein tanha chhoD diya
phenk di us ne hath se jab talwar to phir
main ne bhi dushman ko zinda chhoD diya
murjhae murjhae se hain shaKHon par
phulon ne kyon jaane khilna chhoD diya
daur-e-taraqqi tere sadqe chhoTon ne
apne baDon ki izzat karna chhoD diya
us dipak ko kaun bujhane wala hai
jis dipak ko main ne jalta chhoD diya
tab se hi to sukh gaya hai wo dariya
jab se tum ne is mein nahana chhoD diya
gardish hi to sath hamare rahti thi
gardish ne bhi sath hamara chhoD diya
ek mamuli pinhaaran ki chahat mein
shahzade ne shahar-e-buKHara chhoD diya
'alam' jab se us ne nazren pheri hain
aankhon ne bhi KHwab sajaana chhoD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.