manzilen bhul chuke azm-e-safar baqi hai
manzileñ bhuul chuke azm-e-safar baaqī hai
rāh-rau so bhī ga.e rāhguzar baaqī hai
be-ruḳhī-hā-e-musalsal to nahīñ merā ilaaj
dil meñ pahlī sī mohabbat kā asar baaqī hai
qāfile vāloñ ko rahzan ne musalsal luuTā
rāh-rau ab bhī ye kahte haiñ safar baaqī hai
āñkhoñ āñkhoñ meñ kaTī raat par ai jalva-e-dost
dil ke bahlāne ko kahte haiñ sahar baaqī hai
ik jhalak dekh liyā husn kā jalva 'aḳhtar'
bijliyāñ ḳhatm huiiñ zauq-e-nazar baaqī hai
manzilen bhul chuke azm-e-safar baqi hai
rah-rau so bhi gae rahguzar baqi hai
be-ruKHi-ha-e-musalsal to nahin mera ilaj
dil mein pahli si mohabbat ka asar baqi hai
qafile walon ko rahzan ne musalsal luTa
rah-rau ab bhi ye kahte hain safar baqi hai
aankhon aankhon mein kaTi raat par ai jalwa-e-dost
dil ke bahlane ko kahte hain sahar baqi hai
ek jhalak dekh liya husn ka jalwa 'aKHtar'
bijliyan KHatm huin zauq-e-nazar baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.