manzilen kya bataen main kya hun
manzileñ kyā batā.eñ maiñ kyā huuñ
zindagī kā udaas rasta huuñ
tū ḳharosh-e-talātum-e-dariyā
maiñ sukūt-e-sarāb-e-sahrā huuñ
kaam aa.ī na kuchh shanāsā.ī
shahr kī bhiiḌ meñ akelā huuñ
maiñ tirī justujū ke sahrā meñ
raqs kartā huā bagūla huuñ
ḳhār-o-ḳhas hī sahī magar yaaro
maiñ bhī sahn-e-chaman kā hissa huuñ
chashm-e-ibrat se dekhiye mujh ko
apnī tahzīb kā janāza huuñ
aap apnī sunā.iye 'ma.asūm'
merī kyā pūchhte haiñ achchhā huuñ
manzilen kya bataen main kya hun
zindagi ka udas rasta hun
tu KHarosh-e-talatum-e-dariya
main sukut-e-sarab-e-sahra hun
kaam aai na kuchh shanasai
shahr ki bhiD mein akela hun
main teri justuju ke sahra mein
raqs karta hua bagula hun
KHar-o-KHas hi sahi magar yaro
main bhi sahn-e-chaman ka hissa hun
chashm-e-ibrat se dekhiye mujh ko
apni tahzib ka janaza hun
aap apni sunaiye 'masum'
meri kya puchhte hain achchha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.