manzilon ki or jate sab ishaare mar gae
manziloñ kī or jaate sab ishāre mar ga.e
aañkh kī dahlīz par jab ḳhvāb saare mar ga.e
lamha-bhar ko chāñd muTThī meñ chhupā ke rakh liyā
lamha bhar meñ dekh to kitne sitāre mar ga.e
us ne jab ik phuul ke ruḳhsār par bosa diyā
tum ne dekhā hī nahīñ kitne nazāre mar ga.e
pāniyoñ kī chaah meñ us ke qadam uTThe to phir
ho gayā dariyā samundar aur kināre mar ga.e
us ne jab sar ko mire kāñdhe pe aa ke rakh diyā
phir shajar dīvār-o-dar aur sab sahāre mar ga.e
vaqt-e-ruḳhsat hausla jaane kahāñ gum ho gayā
soch pāgal ho ga.ī alfāz saare mar ga.e
is tarah sadqe utāre us ne apnī zaat ke
us ne apne sar se jitne log vaare mar ga.e
manzilon ki or jate sab ishaare mar gae
aankh ki dahliz par jab KHwab sare mar gae
lamha-bhar ko chand muTThi mein chhupa ke rakh liya
lamha bhar mein dekh to kitne sitare mar gae
us ne jab ek phul ke ruKHsar par bosa diya
tum ne dekha hi nahin kitne nazare mar gae
paniyon ki chah mein us ke qadam uTThe to phir
ho gaya dariya samundar aur kinare mar gae
us ne jab sar ko mere kandhe pe aa ke rakh diya
phir shajar diwar-o-dar aur sab sahaare mar gae
waqt-e-ruKHsat hausla jaane kahan gum ho gaya
soch pagal ho gai alfaz sare mar gae
is tarah sadqe utare us ne apni zat ke
us ne apne sar se jitne log ware mar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.