manzur nahin ranj ko rahat mere dil ki
manzur nahin ranj ko rahat mere dil ki
Mohammad Lutfuddin Khan Lutf
MORE BYMohammad Lutfuddin Khan Lutf
manzūr nahīñ ranj ko rāhat mire dil kī
furqat ko gavārā nahīñ furqat mire dil kī
kyā pūchhte ho chāragaro dard-o-alam ko
sūrat se ayaañ hotī hai hālat mire dil kī
har-vaqt musībat meñ hai har-vaqt balā meñ
kyā dard-o-alam se huī ḳhilqat mire dil kī
bāvar nahīñ aatā hai to ai jaan tum aa kar
ḳhud dekh lo hālat shab-e-furqat mire dil kī
vā'da to kiyā hai shab-e-furqat meñ ajal ne
shāyad ki Thikāne lagī mehnat mire dil kī
vo ġhair kī ulfat se agar baaz bhī aa.eñ
jā.egī na tā-zīst kudūrat mire dil kī
kyā lutf milā hijr kā us ko bhī kahīñ 'lutf'
kyoñ ġhair ko manzūr hai rāhat mire dil kī
manzur nahin ranj ko rahat mere dil ki
furqat ko gawara nahin furqat mere dil ki
kya puchhte ho chaaragaro dard-o-alam ko
surat se ayan hoti hai haalat mere dil ki
har-waqt musibat mein hai har-waqt bala mein
kya dard-o-alam se hui KHilqat mere dil ki
bawar nahin aata hai to ai jaan tum aa kar
KHud dekh lo haalat shab-e-furqat mere dil ki
wa'da to kiya hai shab-e-furqat mein ajal ne
shayad ki Thikane lagi mehnat mere dil ki
wo ghair ki ulfat se agar baz bhi aaen
jaegi na ta-zist kudurat mere dil ki
kya lutf mila hijr ka us ko bhi kahin 'lutf'
kyon ghair ko manzur hai rahat mere dil ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.