maqam-e-admiyyat imtihan ki manzil hai
maqām-e-ādmiyyat imtihāñ kī manzil hai
kisī ke vāste āsāñ kisī ko mushkil hai
nahīñ fareb-e-ḳhulūs aur ḳhulūs meñ koī farq
ba-yak nigāh kareñ imtiyāz mushkil hai
yahīñ se rāste imkān ke nikalte haiñ
hamārā qalb-e-musaffā ik aisī manzil hai
mirā rafīq talavvun-mizāj hai apnā
kabhī hai barq taḌaptī huī kabhī dil hai
yahī vo dil hai jo be-maut mārtā hai hameñ
hamāre siine ke andar hamārā qātil hai
hamāre 'azm pe mauqūf hai qiyām-e-safar
chaleñ to rāsta hai ruk ga.e to manzil hai
zabāñ se kyoñ kahe vo baat dil kī tū jo sune
ḳhamosh is liye har vaqt terā saa.il hai
charāġh kaun jalātā hai chaudhvīñ shab meñ
hamārī bazm kī qindīl māh-e-kāmil hai
sukūñ nasīb ba-zāhir mujhe magar 'akmal'
vatan ke vāste siine meñ dil to bismil hai
maqam-e-admiyyat imtihan ki manzil hai
kisi ke waste aasan kisi ko mushkil hai
nahin fareb-e-KHulus aur KHulus mein koi farq
ba-yak nigah karen imtiyaz mushkil hai
yahin se raste imkan ke nikalte hain
hamara qalb-e-musaffa ek aisi manzil hai
mera rafiq talawwun-mizaj hai apna
kabhi hai barq taDapti hui kabhi dil hai
yahi wo dil hai jo be-maut marta hai hamein
hamare sine ke andar hamara qatil hai
hamare 'azm pe mauquf hai qiyam-e-safar
chalen to rasta hai ruk gae to manzil hai
zaban se kyon kahe wo baat dil ki tu jo sune
KHamosh is liye har waqt tera sail hai
charagh kaun jalata hai chaudhwin shab mein
hamari bazm ki qindil mah-e-kaamil hai
sukun nasib ba-zahir mujhe magar 'akmal'
watan ke waste sine mein dil to bismil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.