maqam-e-abd pe pahunche aur aabdida hue
maqām-e-abd pe pahuñche aur ābdīda hue
to 'āsiyān-e-zamāna bhī barguzīda hue
mubārazat kī sadā.eñ thiiñ jis ke dam-ḳham se
vo teġh kund huī aur suḳhan qasīda hue
faqīr-e-shahr to kāsa-ba-dast hai lekin
tamām shahr ke faiyyaz yad-burīda hue
kisī ko izn-e-takallum nahīñ hai majlis meñ
thā jin ko zo.am-e-suḳhan harf-e-nā-shunīda hue
is ehtiyāt se ḳhanjar ne dast-kārī kī
shikan qabā pe na aa.ī badan darīda hue
ye kis ke dast-e-mohabbat ne chhū liyā ham ko
azal ke hijr-gazīd aaj ārmīda hue
kitāb-e-umr se kuchh naam miT ga.e lekin
tumhāre naam ke sab harf ḳhat-kashīda hue
jo terī bazm meñ raqsāñ the josh-e-vaslat se
vo dasht-e-hijr meñ āhū-e-nā-ramīda hue
maqam-e-abd pe pahunche aur aabdida hue
to 'asiyan-e-zamana bhi barguzida hue
mubarazat ki sadaen thin jis ke dam-KHam se
wo tegh kund hui aur suKHan qasida hue
faqir-e-shahr to kasa-ba-dast hai lekin
tamam shahr ke faiyyaz yad-burida hue
kisi ko izn-e-takallum nahin hai majlis mein
tha jin ko zoam-e-suKHan harf-e-na-shunida hue
is ehtiyat se KHanjar ne dast-kari ki
shikan qaba pe na aai badan darida hue
ye kis ke dast-e-mohabbat ne chhu liya hum ko
azal ke hijr-gazid aaj aarmida hue
kitab-e-umr se kuchh nam miT gae lekin
tumhaare nam ke sab harf KHat-kashida hue
jo teri bazm mein raqsan the josh-e-waslat se
wo dasht-e-hijr mein aahu-e-na-ramida hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.