maqam-e-zat kya hai lan-tarani kis ko kahte hain
maqām-e-zāt kyā hai lan-tarānī kis ko kahte haiñ
ḳhudā hī jāntā hai dīd-bānī kis ko kahte haiñ
banā jab maiñ sanā-ḳhvān-e-mohammad to khulā mujh par
karam shafqat ināyat mehrbānī kis ko kahte
husain ibn-e-alī ne ahal-e-maktab ko batāyā hai
sināñ kī nok par qur.ān-ḳhvānī kis ko kahte haiñ
agar dariyā se hī us kī vazāhat ho nahīñ paa.ī
to pyāsā kyā batā.egā ki paanī kis ko kahte haiñ
jo ḳhud ko dā.iyān-e-hurriyat kahte nahīñ thakte
unheñ pūchheñ zarā burhān-vānī kis ko kahte haiñ
tumhārī aañkh par aayā savāl urdu ke parche meñ
batāo lājvardī arġhavānī kis ko kahte haiñ
uThāyā dosh-e-mizhgāñ par jo bār-e-ḳhvāb to jaanā
girānī kyā balā hai nā-tavānī kis ko kahte haiñ
abhī aa jā.eñge le kar sabhī asbāb mahshar ke
maiñ yūñhī pūchh baiThā thā javānī kis ko kahte haiñ
sahar se peshtar jis kī basārat chhin ga.ī 'arshad'
vahī samjhā sakegā rā.egānī kis ko kahte haiñ
maqam-e-zat kya hai lan-tarani kis ko kahte hain
KHuda hi jaanta hai did-bani kis ko kahte hain
bana jab main sana-KHwan-e-mohammad to khula mujh par
karam shafqat inayat mehrbani kis ko kahte
husain ibn-e-ali ne ahal-e-maktab ko bataya hai
sinan ki nok par quran-KHwani kis ko kahte hain
agar dariya se hi us ki wazahat ho nahin pai
to pyasa kya bataega ki pani kis ko kahte hain
jo KHud ko daiyan-e-hurriyat kahte nahin thakte
unhen puchhen zara burhan-wani kis ko kahte hain
tumhaari aankh par aaya sawal urdu ke parche mein
batao lajwardi arghawani kis ko kahte hain
uThaya dosh-e-mizhgan par jo bar-e-KHwab to jaana
girani kya bala hai na-tawani kis ko kahte hain
abhi aa jaenge le kar sabhi asbab mahshar ke
main yunhi puchh baiTha tha jawani kis ko kahte hain
sahar se peshtar jis ki basarat chhin gai 'arshad'
wahi samjha sakega raegani kis ko kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.