maqsud-e-jaan-o-dil shah-e-zishan aap hain
maqsūd-e-jān-o-dil shah-e-zīshān aap haiñ
haqqā ki merā diiñ mirā īmān aap haiñ
taḳhlīq-e-kā.enāt hai mansūb aap se
unvān-e-zindagī bahar-unvān aap haiñ
ham āsiyoñ ke paas kuchh is ke sivā nahīñ
baḳhshish kā hai agar koī sāmān aap haiñ
insāniyat kī kartī hai takmīl jis kī zaat
vallāh is jahāñ meñ vo insān aap haiñ
duniyā kī justujū hai na uqbā kī aarzū
merī nazar ke sāmne har aan aap haiñ
tūfāñ meñ nāḳhudā kī zarūrat nahīñ mujhe
maiñ aap kā huuñ mere nigahbān aap haiñ
allāh kā vajūd to dekhā nahīñ magar
allāh ke vajūd kī pahchān aap haiñ
'zaidī' bayāñ sifāt hoñ kyā muḳhtasar ye hai
ham par ḳhudā kī zaat kā ehsān aap haiñ
maqsud-e-jaan-o-dil shah-e-zishan aap hain
haqqa ki mera din mera iman aap hain
taKHliq-e-kaenat hai mansub aap se
unwan-e-zindagi bahar-unwan aap hain
hum aasiyon ke pas kuchh is ke siwa nahin
baKHshish ka hai agar koi saman aap hain
insaniyat ki karti hai takmil jis ki zat
wallah is jahan mein wo insan aap hain
duniya ki justuju hai na uqba ki aarzu
meri nazar ke samne har aan aap hain
tufan mein naKHuda ki zarurat nahin mujhe
main aap ka hun mere nigahban aap hain
allah ka wajud to dekha nahin magar
allah ke wajud ki pahchan aap hain
'zaidi' bayan sifat hon kya muKHtasar ye hai
hum par KHuda ki zat ka ehsan aap hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.