maqtal mein aaj hausla dil ka nikal gaya
maqtal mein aaj hausla dil ka nikal gaya
Aashiq Husain Bazm Afandi
MORE BYAashiq Husain Bazm Afandi
maqtal meñ aaj hausla dil kā nikal gayā
sab apne paañv se ga.e maiñ sar ke bal gayā
manzūr dil kā thā unheñ lenā so le chuke
ab kyoñ vo paas ā.eñge matlab nikal gayā
qismat to dekhiye jo shab-e-vasl aa.ī bhī
shikve shikāyatoñ hī meñ sab vaqt Tal gayā
aate hī fasl-e-gul ke junūñ kā huā ye josh
dīvāna un kā jaame se bāhar nikal gayā
baaqī haiñ ba.ad-e-qatl bhī ulfat kī garmiyāñ
dil kī taḌap na kam huī go dam nikal gayā
un kī nigāh-e-qahr se ab kyā bachegā dil
palTā nahīñ jo tiir kamāñ se nikal gayā
is Dar se naala kar nahīñ saktā firāq meñ
mar jā.ūñgā jo vo dil-e-nāzuk dahal gayā
kāñToñ kī ābloñ se ġhanīmat thī nok jhoñk
vahshī kā tere dasht meñ kuchh jī bahal gayā
sābit-qadam hamīñ haiñ na ġhairoñ ko muñh lagāo
koī na hogā un meñ se joban jo Dhal gayā
ai 'bazm' mujh se karte vo iqrār-e-vasl kyā
vo to ye kahiye un kī zabāñ se nikal gayā
maqtal mein aaj hausla dil ka nikal gaya
sab apne panw se gae main sar ke bal gaya
manzur dil ka tha unhen lena so le chuke
ab kyon wo pas aaenge matlab nikal gaya
qismat to dekhiye jo shab-e-wasl aai bhi
shikwe shikayaton hi mein sab waqt Tal gaya
aate hi fasl-e-gul ke junun ka hua ye josh
diwana un ka jame se bahar nikal gaya
baqi hain baad-e-qatl bhi ulfat ki garmiyan
dil ki taDap na kam hui go dam nikal gaya
un ki nigah-e-qahr se ab kya bachega dil
palTa nahin jo tir kaman se nikal gaya
is Dar se nala kar nahin sakta firaq mein
mar jaunga jo wo dil-e-nazuk dahal gaya
kanTon ki aablon se ghanimat thi nok jhonk
wahshi ka tere dasht mein kuchh ji bahal gaya
sabit-qadam hamin hain na ghairon ko munh lagao
koi na hoga un mein se joban jo Dhal gaya
ai 'bazm' mujh se karte wo iqrar-e-wasl kya
wo to ye kahiye un ki zaban se nikal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.