maqtal mein chamakti hui talwar the hum log
maqtal meñ chamaktī huī talvār the ham log
jaañ nazr-guzārī pe bhī tayyār the ham log
ham ahl-e-sharaf log the is shahr meñ lekin
rusvā bhī sar-e-kūcha-o-bāzār the ham log
kaam aate na the ham ko bas ik kār-e-junūñ ke
duniyā kī nigāhoñ meñ to bekār the ham log
is nisbat-e-haq meñ ye sharaf kam to nahīñ hai
zindīq bhī kāfir bhī gunahgār the ham log
us ko bhī to kuchh husn ne maġhrūr kiyā thā
kuchh apnī anā meñ bhī giraftār the ham log
kuchh yādoñ ne us kī hameñ nāshād kiyā hai
kuchh apnī tabī.at se bhī bezār the ham log
ab tū ne bhī apnāne se inkār kiyā hai
a vahshat-e-shab tere azā-dār the ham log
a 'shāhid'-e-ḳhush-baḳht 'yagānā' se ye kah do
kahte haiñ ki 'ġhālib' ke taraf-dār the ham log
maqtal mein chamakti hui talwar the hum log
jaan nazr-guzari pe bhi tayyar the hum log
hum ahl-e-sharaf log the is shahr mein lekin
ruswa bhi sar-e-kucha-o-bazar the hum log
kaam aate na the hum ko bas ek kar-e-junun ke
duniya ki nigahon mein to bekar the hum log
is nisbat-e-haq mein ye sharaf kam to nahin hai
zindiq bhi kafir bhi gunahgar the hum log
us ko bhi to kuchh husn ne maghrur kiya tha
kuchh apni ana mein bhi giraftar the hum log
kuchh yaadon ne us ki hamein nashad kiya hai
kuchh apni tabiat se bhi bezar the hum log
ab tu ne bhi apnane se inkar kiya hai
a wahshat-e-shab tere aza-dar the hum log
a 'shahid'-e-KHush-baKHt 'yagana' se ye kah do
kahte hain ki 'ghaalib' ke taraf-dar the hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.