maqtal mein hi nam likha ho ye kaise ho sakta hai
maqtal meñ hī naam likhā ho ye kaise ho saktā hai
ġham hī ġham bas merā sila ho ye kaise ho saktā hai
duniyā ke dukh-dard simaT kar bas merī jāgīr bane
un ko dukh mujh bhī se sivā ho ye kaise ho saktā hai
maiñ ne to har sham.a bujhā dī aas meñ un se milne kī
raakh se koī sho.ala uThā ho ye kaise ho saktā hai
zaḳhmoñ ko tum laakh chhupā lo zabt-e-alam meñ taaq to ho
ā.īne ne jhuuT kahā ho ye kaise ho saktā hai
maqtal mein hi nam likha ho ye kaise ho sakta hai
gham hi gham bas mera sila ho ye kaise ho sakta hai
duniya ke dukh-dard simaT kar bas meri jagir bane
un ko dukh mujh bhi se siwa ho ye kaise ho sakta hai
main ne to har shama bujha di aas mein un se milne ki
rakh se koi shoala uTha ho ye kaise ho sakta hai
zaKHmon ko tum lakh chhupa lo zabt-e-alam mein taq to ho
aaine ne jhuT kaha ho ye kaise ho sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.