maqtal se apni lash liye hum jo chal paDe
maqtal se apnī laash liye ham jo chal paḌe
sunte haiñ qātiloñ ke bhī māthe pe bal paḌe
aaheñ chamak rahī thiiñ falak par zamīn kī
duniyā samajh rahī thī sitāre nikal paḌe
jab tīrgī kī chīḳh paḌī un ke kaan meñ
murda paḌe charāġh bhī yak-laḳht jal paḌe
sāhil pe jyuuñ hī paañv rakhā reg-zār ne
paanī meñ jitne dafn the dariyā uchhal paḌe
āñkheñ ragaḌ rahā huuñ zamīñ par maiñ mustaqil
āñkhoñ meñ dhuul jhoñkne vāloñ ko kal paḌe
'shahbāz' ek sher huā thā kisī ke naam
jitne bhī ahl-e-dard the sun kar uchhal paḌe
maqtal se apni lash liye hum jo chal paDe
sunte hain qatilon ke bhi mathe pe bal paDe
aahen chamak rahi thin falak par zamin ki
duniya samajh rahi thi sitare nikal paDe
jab tirgi ki chiKH paDi un ke kan mein
murda paDe charagh bhi yak-laKHt jal paDe
sahil pe jyun hi panw rakha reg-zar ne
pani mein jitne dafn the dariya uchhal paDe
aankhen ragaD raha hun zamin par main mustaqil
aankhon mein dhul jhonkne walon ko kal paDe
'shahbaz' ek sher hua tha kisi ke nam
jitne bhi ahl-e-dard the sun kar uchhal paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.