mar gaya ek aadmi hikmat baDi rakhte hue
mar gayā ik aadmī hikmat baḌī rakhte hue
saañp ke kaaTe kī hāthoñ meñ jaḌī rakhte hue
kah rahe haiñ ham lab-e-jānāñ ko nāzuk sā gulāb
'mīr' jī kī pankhuḌī par pankhuḌī rakhte hue
fikr meñ Duubā huā bachcha nazar aayā mujhe
ik diye kī lau pe apnī phuljhaḌī rakhte hue
mere mālik maiñ tirī fayyāziyoñ par hañs paḌā
zindagī do din kī dī sharteñ kaḌī rakhte hue
apne kandhe par biThā.e mere naanā bhī chale
kachchī pakkī rahguzāroñ par chhaḌī rakhte hue
chal rahe haiñ is taraqqī ke zamāne meñ bhī log
apne apne sar pe apnī jhoñpḌī rakhte hue
ho ga.iiñ 'misdāq' nam āñkheñ amīr-e-shahr kī
tīrgī meñ rehn sone kī kaḌī rakhte hue
mar gaya ek aadmi hikmat baDi rakhte hue
sanp ke kaTe ki hathon mein jaDi rakhte hue
kah rahe hain hum lab-e-jaanan ko nazuk sa gulab
'mir' ji ki pankhuDi par pankhuDi rakhte hue
fikr mein Duba hua bachcha nazar aaya mujhe
ek diye ki lau pe apni phuljhaDi rakhte hue
mere malik main teri fayyaziyon par hans paDa
zindagi do din ki di sharten kaDi rakhte hue
apne kandhe par biThae mere nana bhi chale
kachchi pakki rahguzaron par chhaDi rakhte hue
chal rahe hain is taraqqi ke zamane mein bhi log
apne apne sar pe apni jhonpDi rakhte hue
ho gain 'misdaq' nam aankhen amir-e-shahr ki
tirgi mein rehn sone ki kaDi rakhte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.