mar gaya main dard-o-gham se par na aaya yar hae
mar gayā maiñ dard-o-ġham se par na aaya yaar haa.e
kis qadar be-rahm hai yāroñ mirā dil-dār haa.e
sab se milte-julte ho tum ham se rahte ho judā
ġhair ko gul jānte ho aur ham ko ḳhaar haa.e
sab ko izzat ho jahāñ meñ haa.e kaisā ye sitam
terā āshiq ho zalīl-o-be-vaqār-o-ḳhvār haa.e
ġhair kī chhātī se lag jaate ho mere sāmne
bolnā bhī ham se rakhte ho piyāre aar haa.e
mar gayā vo shaḳhs jis se tum ko milnā aar thā
kaun thā vo terā 'rashkī' āshiq-e-sarshār haa.e
mar gaya main dard-o-gham se par na aaya yar hae
kis qadar be-rahm hai yaron mera dil-dar hae
sab se milte-julte ho tum hum se rahte ho juda
ghair ko gul jaante ho aur hum ko KHar hae
sab ko izzat ho jahan mein hae kaisa ye sitam
tera aashiq ho zalil-o-be-waqar-o-KHwar hae
ghair ki chhati se lag jate ho mere samne
bolna bhi hum se rakhte ho piyare aar hae
mar gaya wo shaKHs jis se tum ko milna aar tha
kaun tha wo tera 'rashki' aashiq-e-sarshaar hae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.