mar kar bhi hai talash mujhe ku-e-yar ki
mar kar bhī hai talāsh mujhe kū-e-yār kī
miTTī ḳharāb kyoñ na ho mere ġhubār kī
va.ada bhī kar ke aa.e na ik shab vo mere ghar
chhiTkī na chāñdnī qamar-e-gul-ezār kī
kuchh tār-e-pairahan se nahīñ imtiyāz ab
hālat na pūchhiye mire jism-e-nazār kī
aanā na thā to ḳhat hī koī aap bhejte
taskīn kuchh to hotī dil-e-be-qarār kī
nargis hai shakl-e-chashm-e-tamanna ba-ainihī
laala bhī hai shabīh dil-e-dāġh-dār kī
guldasta pesh kījiye laala ke phūloñ kā
sunñī hoñ gāliyāñ jo kisī gul-ezār kī
kyoñ is ke pīchhe hotī hai hairān ai sabā
milne kī gard bhī nahīñ mere ġhubār kī
vo ḳhāksār the na havā se huī buland
marne ke baad ḳhaak hamāre mazār kī
va.ada-ḳhilāf yaar se kahtā nahīñ koī
tāqat nahīñ rahī mujhe ab intizār kī
dil kā ab āñkhoñ se ye taqāzā hai rāt-din
tasvīr sāmne rahe har-dam nigār kī
ġhurbat meñ kyoñ vatan kī tamanna na kījiye
kyā kyā aziyyateñ na sahīñ dasht-e-ḳhār kī
yūsuf azīz-e-misr the hāsil thī saltanat
is jaah par bhī chaah thī apne dayār kī
furqat meñ zindagānī-e-shīrīñ hai zahr-āb
ḳhvāhish ho ḳhaak mujh ko mai-e-ḳhush-gavār kī
'ājiz' hamārī āñkheñ tarastī hī rah ga.iiñ
nā-dīdoñ ko nasīb rahī diid yaar kī
mar kar bhi hai talash mujhe ku-e-yar ki
miTTi KHarab kyon na ho mere ghubar ki
wada bhi kar ke aae na ek shab wo mere ghar
chhiTki na chandni qamar-e-gul-ezar ki
kuchh tar-e-pairahan se nahin imtiyaz ab
haalat na puchhiye mere jism-e-nazar ki
aana na tha to KHat hi koi aap bhejte
taskin kuchh to hoti dil-e-be-qarar ki
nargis hai shakl-e-chashm-e-tamanna ba-ainihi
lala bhi hai shabih dil-e-dagh-dar ki
guldasta pesh kijiye lala ke phulon ka
sunni hon galiyan jo kisi gul-ezar ki
kyon is ke pichhe hoti hai hairan ai saba
milne ki gard bhi nahin mere ghubar ki
wo KHaksar the na hawa se hui buland
marne ke baad KHak hamare mazar ki
wada-KHilaf yar se kahta nahin koi
taqat nahin rahi mujhe ab intizar ki
dil ka ab aankhon se ye taqaza hai raat-din
taswir samne rahe har-dam nigar ki
ghurbat mein kyon watan ki tamanna na kijiye
kya kya aziyyaten na sahin dasht-e-KHar ki
yusuf aziz-e-misr the hasil thi saltanat
is jah par bhi chah thi apne dayar ki
furqat mein zindagani-e-shirin hai zahr-ab
KHwahish ho KHak mujh ko mai-e-KHush-gawar ki
'ajiz' hamari aankhen tarasti hi rah gain
na-didon ko nasib rahi did yar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.