mar ke miTTi mein milunga khad ho jaunga main
mar ke miTTī meñ milūñgā khaad ho jā.ūñgā maiñ
phir khilūñgā shāḳh par ābād ho jā.ūñgā maiñ
maiñ tire hone se hī is jism meñ ābād huuñ
chhoḌ kar mat jā mujhe barbād ho jā.ūñgā maiñ
apnī zulfoñ ko havā ke sāmne mat kholnā
varna ḳhushbū kī tarah āzād ho jā.ūñgā maiñ
bār-bār ā.uñgā maiñ terī nazar ke sāmne
aur phir ik roz terī yaad ho jā.ūñgā maiñ
tere siine meñ utar ā.ūñgā chupke se kabhī
phir judā ho kar tirī fariyād ho jā.ūñgā maiñ
mar ke miTTi mein milunga khad ho jaunga main
phir khilunga shaKH par aabaad ho jaunga main
main tere hone se hi is jism mein aabaad hun
chhoD kar mat ja mujhe barbaad ho jaunga main
apni zulfon ko hawa ke samne mat kholna
warna KHushbu ki tarah aazad ho jaunga main
bar-bar aaunga main teri nazar ke samne
aur phir ek roz teri yaad ho jaunga main
tere sine mein utar aaunga chupke se kabhi
phir juda ho kar teri fariyaad ho jaunga main
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 101)
- Author :Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.