maraz-e-ishq se achchha nahin insan hota
maraz-e-ishq se achchha nahin insan hota
Aashiq Husain Bazm Afandi
MORE BYAashiq Husain Bazm Afandi
maraz-e-ishq se achchhā nahīñ insāñ hotā
ye vahī dard hai jis kā nahīñ darmāñ hotā
dil-e-vahshat-zada kyoñ zulf kā ḳhvāhāñ hotā
ek to thā hī siḌī aur pareshāñ hotā
ai falak kyā huā gar hañs liye do ek ghaḌī
ham to jab jānte puurā koī armāñ hotā
aur kuchh rozoñ jo minnat kī na baḌhtī beḌī
tere dīvānoñ se māmūr bayābāñ hotā
ye na samjhe shab-e-va.ada hai qayāmat hogī
kyā jab aate ki yahāñ dafn kā sāmāñ hotā
sahar-e-hijr janāza hī nikaltā ghar se
maiñ musībat kā na ḳhūgar jo mirī jaañ hotā
zulm kaisā hī pas-e-marg vo karte lekin
laash hotī mirī aur kūcha-e-jānāñ hotā
mus.haf-e-ruḳh meñ usī ke ye sifat hai vallāh
do varaq kā bhī hai aaya kahīñ qur.āñ hotā
āj-kal ġhair se hai tujh ko jo ai zulm-pasand
kaash vo rishta-e-ulfat tirā paimāñ hotā
is girānī pe to majma.a hai ye dīvānoñ kā
qahr thā zulf kā saudā agar arzāñ hotā
vaar bas ek hī siine pe lagāyā ai gul
itne charke to lagātā ki gulistāñ hotā
'bazm' maddāh bhī hai aap kā aur zākir bhī
rahm kyoñ is pe nahīñ ai shah-e-mardāñ hotā
maraz-e-ishq se achchha nahin insan hota
ye wahi dard hai jis ka nahin darman hota
dil-e-wahshat-zada kyon zulf ka KHwahan hota
ek to tha hi siDi aur pareshan hota
ai falak kya hua gar hans liye do ek ghaDi
hum to jab jaante pura koi arman hota
aur kuchh rozon jo minnat ki na baDhti beDi
tere diwanon se mamur bayaban hota
ye na samjhe shab-e-wada hai qayamat hogi
kya jab aate ki yahan dafn ka saman hota
sahar-e-hijr janaza hi nikalta ghar se
main musibat ka na KHugar jo meri jaan hota
zulm kaisa hi pas-e-marg wo karte lekin
lash hoti meri aur kucha-e-jaanan hota
mushaf-e-ruKH mein usi ke ye sifat hai wallah
do waraq ka bhi hai aaya kahin quran hota
aaj-kal ghair se hai tujh ko jo ai zulm-pasand
kash wo rishta-e-ulfat tera paiman hota
is girani pe to majma hai ye diwanon ka
qahr tha zulf ka sauda agar arzan hota
war bas ek hi sine pe lagaya ai gul
itne charke to lagata ki gulistan hota
'bazm' maddah bhi hai aap ka aur zakir bhi
rahm kyon is pe nahin ai shah-e-mardan hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.