maraz ki jin se tawaqqo hai wo dawa denge
maraz kī jin se tavaqqo' hai vo davā deñge
dilāsa deñge faqat tujh ko aasrā deñge
kaheñge ḳhud ko taraf-dār raushnī ke magar
sabhī charāġh ye jalte hue bujhā deñge
ham apne ḳhvāb kareñ muntaqil jo nasloñ meñ
hamāre baa'd ke mausam hameñ du'ā deñge
Darā Darā ke tirā e'timād chhīneñge
phir is ke baa'd tujhe ulTā mashvara deñge
tire qarīb base haiñ ḳhushāmadī ḳhūgar
falak pe lā ke tujhe ḳhaak meñ milā deñge
vahī to raah kī dīvār ban ke baiThe haiñ
vo jin se ham ko tavaqqo' thī rāsta deñge
zarā sī der meñ 'ārif' ye naav Dūbegī
ḳhudā kā Thiik pata ab ye nā-ḳhudā deñge
maraz ki jin se tawaqqo' hai wo dawa denge
dilasa denge faqat tujh ko aasra denge
kahenge KHud ko taraf-dar raushni ke magar
sabhi charagh ye jalte hue bujha denge
hum apne KHwab karen muntaqil jo naslon mein
hamare ba'd ke mausam hamein du'a denge
Dara Dara ke tera e'timad chhinenge
phir is ke ba'd tujhe ulTa mashwara denge
tere qarib base hain KHushamadi KHugar
falak pe la ke tujhe KHak mein mila denge
wahi to rah ki diwar ban ke baiThe hain
wo jin se hum ko tawaqqo' thi rasta denge
zara si der mein 'arif' ye naw Dubegi
KHuda ka Thik pata ab ye na-KHuda denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.