marg-e-ashiq par jo barham ho do-alam ka waraq
marg-e-ashiq par jo barham ho do-alam ka waraq
Karamat Ali Shaheedi
MORE BYKaramat Ali Shaheedi
marg-e-āshiq par jo barham ho do-ālam kā varaq
haif hai ai jaañ tujhe malnā kaf-e-afsos kā
vasl meñ dushvār niklegā hamāre dil se ġham
chhoḌnā āsāñ nahīñ hai ḳhāna-e-fānūs kā
kyā likhe dekhe sitamgar ma.anī-e-lafz-e-vafā
phaaḌ Daalā kyoñ ḳhafā ho kar varaq qāmūs kā
sāmne āñkhoñ ke lahrātā hai merā dūd-e-dil
kyoñ tujhe bāvar nahīñ munkir na ho mahsūs kā
dam-ba-dam aatā hai aḳhbār-e-daroġh-o-rāst sab
bad-gumānī naam hai ushshāq ke jāsūs kā
kis shikār-afgan kī aatī hai savārī dasht meñ
muntazir ek ek vahshī hai sadā-e-kūs kā
rū-ba-rū-e-haq na iḳhfā-e-mohabbat ho sakā
sub.h-e-mahshar se magar parda mire nāmūs kā
sair kartā huuñ nagīn-e-dil 'shahīdī' zahr se
kanda is par maiñ karūñgā naam shāh-e-tūs kā
marg-e-ashiq par jo barham ho do-alam ka waraq
haif hai ai jaan tujhe malna kaf-e-afsos ka
wasl mein dushwar niklega hamare dil se gham
chhoDna aasan nahin hai KHana-e-fanus ka
kya likhe dekhe sitamgar mani-e-lafz-e-wafa
phaD Dala kyon KHafa ho kar waraq qamus ka
samne aankhon ke lahraata hai mera dud-e-dil
kyon tujhe bawar nahin munkir na ho mahsus ka
dam-ba-dam aata hai aKHbar-e-darogh-o-rast sab
bad-gumani nam hai ushshaq ke jasus ka
kis shikar-afgan ki aati hai sawari dasht mein
muntazir ek ek wahshi hai sada-e-kus ka
ru-ba-ru-e-haq na iKHfa-e-mohabbat ho saka
subh-e-mahshar se magar parda mere namus ka
sair karta hun nagin-e-dil 'shahidi' zahr se
kanda is par main karunga nam shah-e-tus ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.