marhala did ka dushwar nahin hai koi
marhala diid kā dushvār nahīñ hai koī
ishq kī raah meñ dīvār nahīñ hai koī
kis qadar sard huā hausla-e-sang-zanī
shīsh-mahloñ pe bhī yalġhār nahīñ hai koī
dil hue jauhar-e-ehsās-e-vafā se mahrūm
ab ġham-e-ishq kā me.aar nahīñ hai koī
log baiThe haiñ añdheroñ kī tijārat karne
chāñd sūraj kā ḳharīdār nahīñ hai koī
jaane kis samt mohabbat meñ ga.e dīvāne
aaj hangāma-e-sardār nahīñ hai koī
qāfile vaale jidhar ruḳh hai chale jaate haiñ
jaise ab qāfila-sālār nahīñ hai koī
dhuup hī dhuup meñ pahroñ tujhe chalnā hai 'majīd'
duur tak sāya-e-dīvār nahīñ hai koī
marhala did ka dushwar nahin hai koi
ishq ki rah mein diwar nahin hai koi
kis qadar sard hua hausla-e-sang-zani
shish-mahlon pe bhi yalghaar nahin hai koi
dil hue jauhar-e-ehsas-e-wafa se mahrum
ab gham-e-ishq ka mear nahin hai koi
log baiThe hain andheron ki tijarat karne
chand suraj ka KHaridar nahin hai koi
jaane kis samt mohabbat mein gae diwane
aaj hangama-e-sardar nahin hai koi
qafile wale jidhar ruKH hai chale jate hain
jaise ab qafila-salar nahin hai koi
dhup hi dhup mein pahron tujhe chalna hai 'majid'
dur tak saya-e-diwar nahin hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.